Sunday, April 12, 2020

,

Best Water filter for Boring Water

Best Guide to buy RO Plant or Best Water filter for Boring Water in Pakistan. Complete Guide in Urdu.


Best Water filter for Boring Water

Pakistan ma boohat se log balke zida tar loog boor ka pani istamaal karte ha. Boor kapani yaa to bohat namkeen or khaara hota ha. Ya phir peela or badboodar hota ha. Agar app ne boor karwaya ha. ya app ka boor hoya huwa ha to sab se pehlay app iss kay pani ka test karwain. Or agar khara ya namkeen ha to iss ka matlab iss ka TDS high ha. iss pani ko peene kay liye app ko RO Plant lagwana ho ga. jis se app ka pani meetha, saaf or shafaf hojaye ga.

Best Water filter for Boring Water

RO Plant for boring Water

RO Plant best ha boor water ko saaf karne k liye. Kio kay jo pani zameen ma se aaraha ha iss ma mineral or chemicals ki miqdaar kitni ha. or jo chemicals ya minerals aarahe ha wo peene kay qabil bi ha k ni. Iss tamaam kisam kay minerals ko balance or peene kay qabil banene kay liye app ko RO Plant lagwana hoga.

Pakistan main bohat se aise ilaqay ha jahan kay paani ma bacteria bi ha. app RO Plant se bacteria ko bi khatam kar sakte ha kio kay is ski membrane filter ki micron ration 0.0001 micron hoti ha. jo bacteria or virus ko filter kar deti ha. iss tarha app kay boor ka pani bilkul saaf or peene kay qabil hojata ha.

RO Plant ka aik maah ka kharach sirf 500 se aik hazar ha or ye app ko Domestic RO Plant 100 gallon jo kay 377 liter banta ha wo 24 ghanto main deta ha. iss kay ilawa ye plant 100 GPD, 200 GPD, 400 GPD, 600 GPD or 800 GPD main bi dasteyab ha. iss se ziada pani kay liye commercial or industrial plant lagwana hota ha. RO Plant lagwane se pehlay apni zaroorat check kar lain kay app ko kitna paani chahiye roozana.  

0 comments:

Post a Comment

Top Ad 728x90