Best Water filter for home in Pakistan
pani bohat si beemarion ki
jarh ha. Peene ka pani aik sehat mand zindagi kay liye zaroori ha. App ma se
bohat se logon ne ghar ma water filter lagwaya hoga ya peene kay liye pani
bahir kisi filter se bharwa kay latey ho gay. Ye plant Government kay bi ho
saktey ha or private bhi. Lekin kia app ko pata ha k ye pani waqai saaf ha? Ki uss
filter plant kay filter kabhi saaf bi huway ha ya change bi huway ha? Agar nahi
pata to phir yaqeenan wo pani saaf ni ho ga. to phir app ko zaroor taalash
karna hoga best water filter for home in Pakistan with Best price.
Kiya App ko pata ha kay
agar aik limited time tak filter ko change naa kia jaye ya saaf na kiya jaye to
ye saaf pani dene ki bajaye ganda or bacteria virus wala paani dena shuru kar deta
ha or app saaf pani pee kar bi beemar hojate ha.
Konsa Filter best ha? Three Stage Water Filter or RO Plant?
Dosto filter lagwane se
pehlay app ko pata hona chahiye kay app ko asal ma kis filter ki zaroorat ha. Or
konsa filter app kay pani ko sahi saaf kar sakta ha.
Aik aam three stage water
filter sirf app kay pani ma se basic kachra saaf kare ga. Iss ka pehla filter
rait, matti or zang kaai saff karta ha. Doosri stage ka kam ha k uss ne chlorine
or chemical saaf karna hota ha. Jab kay tesri stage kaam kamm mukhtalif ha agar
aap iss ma filter use karain gay to app ko pehlistage walifaida ho ga or agar
UV lamp use karte ha to ye bacteria or virus ko khatam karta ha lekin ye tariqa
bohat purana ho gaya ha. Agar koi iss filter ko basic filtration kay liye isstamal
karna chahe to kar saktaha.
Iss kay baad agar app
thora conscious ha. Acha or saaf paani peena chahtay ha to app ko apne pani ka
test karwana ho ga. ya app ye test khud bi kar sakte ha lekin iss k liye app
kay pass TDS or PH meter hona zaroori ha. Ye meters sastay ha or easy mil jate
ha. Agar aap ka pani kharaa ha ya oss ka TDS ziada ha. To app ko RO plant
lagwana ho ga. RO plant App ko ghar ma saaf pani day ga. ye paani doosri aam
pani ki bottle se ziada saaf or shafaaf ho ga.
Dosto RO Plant best Water
filter ha kharay or namkeen pani ko meetha banana kay liye. Agar app RO plant
ghar lagwa late ha to ye app ko saata bi parta ha. RO plant ki 19 lite ki
bottle ki cost taqreeban 05 se 10 rupees parti ha. Jabke yeehi pani ki bottle
app ko 100 se 250 ki milti ha.
0 comments:
Post a Comment