Sunday, April 12, 2020

,

Best Water filter for home in Pakistan

Complete Guide to choose Best Water Filter in Pakistan in Urdu. best tips to check ro plant and buy it.


Best Water filter for home in Pakistan


Best Water filter for home in Pakistan

pani bohat si beemarion ki jarh ha. Peene ka pani aik sehat mand zindagi kay liye zaroori ha. App ma se bohat se logon ne ghar ma water filter lagwaya hoga ya peene kay liye pani bahir kisi filter se bharwa kay latey ho gay. Ye plant Government kay bi ho saktey ha or private bhi. Lekin kia app ko pata ha k ye pani waqai saaf ha? Ki uss filter plant kay filter kabhi saaf bi huway ha ya change bi huway ha? Agar nahi pata to phir yaqeenan wo pani saaf ni ho ga. to phir app ko zaroor taalash karna hoga best water filter for home in Pakistan with Best price. 

Kiya App ko pata ha kay agar aik limited time tak filter ko change naa kia jaye ya saaf na kiya jaye to ye saaf pani dene ki bajaye ganda or bacteria virus wala paani dena shuru kar deta ha or app saaf pani pee kar bi beemar hojate ha.

Konsa Filter best ha? Three Stage Water Filter or RO Plant?

Dosto filter lagwane se pehlay app ko pata hona chahiye kay app ko asal ma kis filter ki zaroorat ha. Or konsa filter app kay pani ko sahi saaf kar sakta ha.

Aik aam three stage water filter sirf app kay pani ma se basic kachra saaf kare ga. Iss ka pehla filter rait, matti or zang kaai saff karta ha. Doosri stage ka kam ha k uss ne chlorine or chemical saaf karna hota ha. Jab kay tesri stage kaam kamm mukhtalif ha agar aap iss ma filter use karain gay to app ko pehlistage walifaida ho ga or agar UV lamp use karte ha to ye bacteria or virus ko khatam karta ha lekin ye tariqa bohat purana ho gaya ha. Agar koi iss filter ko basic filtration kay liye isstamal karna chahe to kar saktaha.

Iss kay baad agar app thora conscious ha. Acha or saaf paani peena chahtay ha to app ko apne pani ka test karwana ho ga. ya app ye test khud bi kar sakte ha lekin iss k liye app kay pass TDS or PH meter hona zaroori ha. Ye meters sastay ha or easy mil jate ha. Agar aap ka pani kharaa ha ya oss ka TDS ziada ha. To app ko RO plant lagwana ho ga. RO plant App ko ghar ma saaf pani day ga. ye paani doosri aam pani ki bottle se ziada saaf or shafaaf ho ga.

Dosto RO Plant best Water filter ha kharay or namkeen pani ko meetha banana kay liye. Agar app RO plant ghar lagwa late ha to ye app ko saata bi parta ha. RO plant ki 19 lite ki bottle ki cost taqreeban 05 se 10 rupees parti ha. Jabke yeehi pani ki bottle app ko 100 se 250 ki milti ha.


0 comments:

Post a Comment

Top Ad 728x90